Saturday, 19 November 2016

Kaise Bayaan Karun

Tujhe dekhkar meri aankhon ko jo sukun milta hai
Main kaise bayaan karun
Tujhe sochkar meri baaton me jo junoon dikhta hai
Main kaise bayaan karun
Kaise bayaan karun, apne pichle kuch mahinon ki tadap ko
Aur kaise bayaan karun, apne dil se hui us din ki jhadap ko
Jab ye tha to mere paas, par dhadka tumhaare liye tha
Jab ye khushi se naacha to tha, par bol aur geet tumhare the
Kaise bayaan karun, main is aalam-e intezaar ko
Aur kaise bayaan karun, tere dar pe lage us darbaar ko
Jahan main tha ik fariyaadi, apna dil dene aaya tha
Charche the jiske husn ke har gali, ik dafa mil lene aaya tha
Ab?dekho ek ye aaj ka din hai
Jab teri khusboo, meri saanson ka ik hissa si lagti hai
Aur doori jo thi darmiyaan, ab koi purana kissa si lagti hai
Kis kadar tere nashe mein main dooba hua hun
Kaise bayaan karun
Tujhe paakar main jo aaj yun poora hua hun
Kaise bayaan karun

No comments:

Post a Comment