Jab hum aapse aur aap humse dur ho jayenge
Jab us rat sare panchi so jayenge
To meri yad ka ek moti
Tumhari aakhon se
Andhere me ujale ki kiran
Banker jugnu ki tarah Bahta hua tumhare galo ko
Sahlakar hoto ko chumta hua
Kho jayega, usi andhere me
Plakein uthaoge to tham jayega
Kuch pal k lea Par palkein jo jhukaiye tumne
Waqt dohrayega wohi jugnuo ka silsila bar bar, kai bar
Tab chah kar hame pas bula na paoge
Choti se jhapki me kahi Sason ke fasle ki tarah
Chupke se hum aayenge phir Kho jayege, usi andhere me
Jab us rat sare panchi so jayenge
Hum aapse aur aap humse dur ho jayenge........
No comments:
Post a Comment