Friday, 22 December 2017

Kuch Baatien.....

Kuch baatien main kabhi nahi bolungi, 
Kuch raaj main kabhi na kholungi , 

Pyaar karti hoon tumse , 
Par ye tumhe kabhi na bolungi.

Kitni baatien hai jo tumhe batani hai , 
Ek kahani hai jo tumhe sunani hai , 

Ek daastan jo shuru hone se pehle khatam , 
Ek raaz jo sene mein dafan. 

Lafz zaba pea ne se ghabrate hai , 
Tumko dil ki har baat batane se hichkichate hai , 

Ye jo meri hasi hai , Wo ho tumse shuru. 
Ye jo tumhare gum hai , wo mujhpe khatam. 

Ek khamoshi hai humari beech , 
Ek benaam rishta hai ,

Har savera tumse nafrat karte huye shuru , 
Aur har yaad tumhari yaado mein khatam 

Is janam mein bhale hi tum ho uske ,
Agle janam mein saath rahenge hum.......


THIS IS HOW PAIN SMELLS LIKE..

I know you think even if you share whatever goes inside your head and heart i cannot feel the way it drowns you.
Your heart sunks everytime you think how it just doesn’t matter to people when there is so much in the world that affects.
I know you feel numbness in your hands when you touch certain people.
I see your words shaking everytime you let out your deepest secrets.
I have seen your blank face with a wide smile. I have seen when you are not able hold all that inside.
I have seen you rooted and aiming high. But i have seen more of your pieces lying on the ground. It cringes me everytime thinking if people never tried holding you tight and not let fall?
I know you have seen not relationships but people changing so shamelessly.
I wish i had seen you trembling in your sleep and crying to yourself. I wish i had seen your red swollen eyes in those vulnerable nights.
I wish i should have been beside your bed to witness you smiling in your dreams and not caring what life is.
I just so wish i should have been there to cover up with the blanket of understanding and belief when you would be frisking yourself in cold and waiting to cuddle with peace.
I know it is hard. Maybe, harder than i think but this-
You think its dark around you but so is sky for a night. Its dark. Its sparkling too.
The stars all over the canvas are your dots to join. The dots waiting to follow the path you have always wanted, that takes you to the sunrise.
Always on toes to understand you,
Love. 

ANJAAN RAAHI

Vo jaan kar bhi anjaan bane baithe hain,
naa jaane kyu aise sar jhukaye baithe hain,
dil se dard ka rishta banaaye baithe hain..
vo jaan kar bhi anjaan bane baithe hain..

aansuon ko yun apnaaye hue baithe hain,
jaane kyu vo sar jhukaye baithe hain,
hakeekat ko sapna banaaye baithe hain,
vo jaan kar bhi anjaan bane baithe hain..

uss syaahi me yun hi doobe hue baithe hain,
har akshar ko shabd banaaye baithe hain..
apni aks ko paraya kar baithe hain,
vo jaan kar bhi anjaan bane baithe hain..
jaane kyu aise sir jhukaaye baithe hain.. 

hum toh yun hi aapke liye sabra kiye baithe hain ,
naa jaane kyu yun hi dil diye baithe hain..
unki aankon ko zabaaan diye baithe hain ,
apni khwaahishon ko yun hi dabaa liye baithe hain, 
vo jaan kar bhi anjaan bane baithe hain,
naa jaane kyu aise sir jhukaaye baithe hain..!

PYAAR KI SLATE

tum mjhe sapno mein bunte ho,
aur yhan mujhe neend nahi aati,
tumhare pyaar ki angeethi,
mere ird gird toh rehti hai,
par mujhe tapa nahi pati..
mere khamosh afsaane sunte ho,
aur apne pyaar par,
khamoshi ki pehredari rakhte ho..
tum nazron se meri rooh ko dekhte ho,
aur yahan mujhse palkein uthayi nahi jati..
farishton jaisa jadu karte ho,
par, tumhari chadi nazar nahi aati?
rubaru hote ho mere har mizaaj se,
aur yahan mujhse,
apne kirdaron ki hi katar nibhayi nahi jati..
tum mitote rehte ho,
unn aaghaton ki ghadiyon ko,
aur mujhse pyaar ki slate bnayi nahi jati..

Tumse Milkar…

Tumse milkar hum badal se gaye
Mere har labz sawali ho gaye
Nafah pothe khali ho gaye
Sanjeedgi se churaye lamhe
Sab khayali ho gaye
Gazalein ras nahi ayin
Aur afsane gali ho gaye
Shabdo se bhare wo thaile
Tumhe dekhte hi kahi khali ho gaye
Faramooshi si cha gayi, Aur
Mere labz rumali ho gaye
Maskhari batein karne lage hum
Tamam majmein sawali ho gaye
Tab kahi maloom hua …ki tumse milkar
hum badal se gaye...........

Tashveer Bana Dena…

Jab bhi yaad aaye unhe ishq-e-mohabbat
Unki ankho me meri tashveer bana dena

Pholoon sa khushnuma har roj
Meri takdeer se unki takdeer saja dena 

Unki palkein kabhi nam na ho
Unke hatho me aisi lakeer bana dena

Yaadein rulana bhi chahe kabhi bhari barsaat me
Mujhe hi unki ankho ka neer bana dena 

Reh jaye koi makhmali guftgoo jo adhuri
Meri zindagi ko unki jaageer bana dena

Jag moya hai, mohabbat ki saja mat dena
Bus mujhe unka vazeer bana dena 

Kabhi naraj-e-ulfat ka mausam jo aaya
Ye khuda Mujhe apna peer bana dena

Kam padi jo koi kushi, koi arzoo
Mera sab unhe dekar mujhe fakeer bana dena.....

अल्फाज़ों से कहाँ बयाँ होते हैं

अल्फाज़ों से कहाँ बयाँ होते हैं दिल के जज़्बात
वर्ना फिर इन खामोशियों की क्या विसात
कुछ बातें दिल से दिल की भी तो होती हैं
बिन बात आखें बस यूँ ही रोती हैं
बस आँखे दिल का हाल बयाँ करती हैं
अल्फाज़ों पे सौ सवाल खड़े करती हैं
इतनी खामोश भी नहीं होतीं ये खामोशियाँ
बहुत कुछ बयाँ करती हैं इनकी नजदीकियां
एक अजब सा सुकून मिलता है इनके साथ
जीत पाना इनसे अल्फाज़ों के बस की नहीं बात
कभी सोचना गहराईयों से एक बात
कुछ लोग बस यूँ ही करीब होते हैं
बात हो न हो दिल को अज़ीज़ होते हैं
ये खामोशियाँ करती हैं दिल से दिल की बात......