Monday 26 December 2016

Itna Kar Sakoge

In bheegi aankho mein kabhi tumhari mohabbat hua karti thi….
lauta sakoge…??
.
Is tute hue dil mein kabhi tumhari yaadein basti thi…
fir se saja sakoge..??
.
Aansu jo beh gae wo puchhte hain aaj bhi mujhse…
ke kyu baha dia hume unke lie jo hume kuch smjhte hi nahi….
unhe smjha sakoge…??
.
Roz raat ko wo tumhari loriyaan gunjti hain in kaano mein…
kya fir se suna sakoge…??
.
Soi nahi jo aankhe jane kb se tumhari raah dekhte hue…
kya unhe sula sakoge..??
.
Pasand tha wo mausam jo badal gaya…
kya wo mausam fir la sakoge..?
.
Wo raate jo thi gawah tumhare pyar ki or mere izhaar ki…
kya wo raatein bhi bhula sakoge..??
.
Yun badal to tum gae itni durr tak aate aate… mausam to fir laut aate hn…
kya tum aa sakoge..??
.
Bas ek guzarish reh gai adhuri..
kya tum barso ki ye pyas ek pal mein bhuja sakoge..??
.
Wo kya bewafai mujhse hui jisne tumhe chheen lia mujhse….
kya ye bhi bata sakoge..??
.
Har purdah hata kar tumhara pyar paa lia tha mne…
kya wo pardey fir gira sakoge..??
.
Yun haar aayi main apni sari dunia sari khushiyaan tumhare liye..
kya mere dard mein simat kar mujhe hasa sakoge..??
.
Ye zindgi jis par tumhara naam likh lia maine…
ye batao kis nafrat se ye naam hata sakoge..??
.
Keh to diya itni asani se ke tumhara wajood mita du main khud se…
wajood to mita diya apna ehsas mita sakoge…??
.
Yun meri masoom mohabbat bhi thak chuki hai tumhari rusvai se…
katl to kar diya ab kya jazbaaton ka janaaza bhi utha sakoge..??
.
Yun tumhari har khata nam aankho se maaf kar di maine. ..
mujh tak to thik hai kya khuda se apni ye khataein maaf kara sakoge…??
.
Kuch nishan tumhari mohabbat ke jism par bhi reh gae hain…
dil se mujhe mita diya ab kya nishan mere jism se bhi mita sakoge..??
.
Yaad hai mujhe wo mere ruthne par bhi mera tumhe manana….
chalo main pagal hi sahi par kya ye pagalpan bhi kahin or paa sakoge..?? :)