Wednesday 7 June 2017

Kab Samjhoge


Kab Samjhoge...
Chahti hu tum saath raho, har pal naa sahi
kuch mumkin pal saath raho,padh lo dil mera,
samjho meri nigaahein,aur baant lo dard mera..

Kab Samjhoge..
akelapan pareshaan karta hai mujhe,
satata hai tanhai mein,udaasi gher leti hai,
dil tadap jata hai, aur aankhon mein nami aa jati hai..

Kab Samjhoge..
Main tumse mohabbat karti hu, aaj se nahi..
Jaane kitne samay se karti hu, Janmo ki baat nahi karti main,
kyunki main aaj mein jeena chahti hu, Tumhare saath har pal jeena chahti hu,
Dil mein kitni kasak hai tumhare liye,sab tum ko bata dena chahti hu..

Kab Samjhoge..
Tum pyaar ho mere,meri ankhiyon ka noor ho,
zindagi meri sirf tumhari hai, kaise main tumse door rahu,
meri mushkilein bad jaati hai, jab tum saath nahi hote ho,
bahut tadap badh jaati hai,jab main akeli mein roti aur tum kahin aur gum hote ho..

Bas Chahati hu Itna..
Samaj lo Mujhe, diye hain jo mujhe vaadein saath nibhane ke,
Haathon mein lekar chehra mera,kar lo aankhon mein band aur main ho jau door is zamaane se..