Saturday 19 November 2016

Dil Yeh Mera

Aaj dil ye mera kehta hai mujhse
ki le chal mujhe ek aisi jagah
Na ho jahan dard kisi k dil me
Na ho ankhon me ashkon k mele
Na kisi se kisi ko baer ho
Jahan sabko sabki khaer ho
Jahan khusiyan gharon me basti hon
Jahan kaliyan kil kil hansti hon
Jahan sabko sabse pyar ho
Na ek duje se takrar ho
Charon oor bahe ek thandi pawan
Barse ghata, jhoome gagan
Jahan log dil k saaf ho
Jahan har gustaakhi maaf ho
Umeedon se jahan bhare ho nain
Man paye jahan, sukun o chain
Har koi sukh dukh ka sathi ho
Jahan bas dua hi lab pe aati ho
Par ye dil zara nadan hai
Nahi duniya ki ise pehchan hai
Klayug ke pher se door hai
Mera dil jara masoom hai
Nahi janta h ye ki, ab waqt badal gaya h
Is dil ko chodke har insaan sambhal gaya h
Ab dil ko kya samjhau mai
Kaise use batlau mai
Ki jahan puri hoti thi sabki mannat
Kho gayi dhara se aisi jannat
Ab apne hi apne dushman hain
Lalach bhara hai kan kan mein
Phir bhi is dil ko aas hai
Ki woh sunahra waqt ab paas h
Jab pyaar ki pyaas satayegi
Paison se khusiyan na mil payegi
Tab duniya ko gunah samjh me ayega
Mere dil ka sapna sach ho jayega.

1 comment: